Computer Knowledge And gadget information In Hindi

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

ads
Hello Friends Mene Apni Last Post Mai Bataya Ta Ki Gmail Account Ka Password Kaise Change Karte Hai, Aur Aaj Mai Apko Bataunga Ki Ham Apne Computer Mai On Screen Keyboard Ka Use Kaise Kar Sakte Hai.
To Dosto Ham Jayada Tar Work Computer Par  Online Hi Karte Hai Aur Jayada Tar Ham Work Karte Time Keyboard Ka Use Karte Hai. Kyu Ki Hamko Sare Kam Karne Ke Liye Keyboard Ka Use Karna Padta Hai . Dosto Ek Tarah Ki Computer Ki Rid Ki Haddi Ki Tarah Hai Keyboard.

Use On Screen Keybarod

Ham Jayda Tar Computer Mai Important Work Karte Rehte Hai For Example Blogging Aur Ham Sara Kam Keyboard Se Hi Karte Hai. Dosto Suppose Kijise Apka Keyboard Us Time Kam Karna Band Kar De To Apko Kitni Gussa Aayegi. Har Kisi Ko Gussa Aati Hai Ki Jab Wo Important Kam Kar Raha Hai Aur Uska Keyboard Band Ho Jaye To Apko Gussa Hone Ki Koi Jarurat Nahi Hai Mai Apko Bataunga Ki Jab Aap Ka keyboard Kam Karna Band Kar de To Apko Kya Karna Chahaiye.


On Screen Keyboard

How to Find On 
On Screen Keyboard Hamre Computer Screen Par Dekhai Deta Hai. Ye On Screen Keyboard Jyda Tar Ham Us Time Use Kar Sakte Hai Jab Ham Koi Important Kam Karte Hai . Kyuki Ham On Screen Keyboard Ka Use Type Karne Mai Use Ni Kar Sakte Hai. Kyuki On Screen Keyboard Se Ham Mouse Se Ek Ek Word Par Click Karke Use Karte Hai. Isliye Ham Iska Use Type Karne Mai Nahi Kar Sakte Hai. kyu Mouse Click karne se apko jayada problem aa sakti hai

On Screen Keyboard Kaise Use Kare


Apko On Screen Keyboard ka upyog karne ke liye On Screen keyboard ko Search karna hoga. Ye keyboard offline hota hai. Search app Is Tarike se kar sakte hai
  • Sabse Pehle Aap Ko Apne Computer Ke Start Button Par Click Karna Hoga .
  • Uske Bad Aap Ko Run Option Par Click Karna Hota Hai.
  • Run Option Ke Search Box  Mai Jakr OSK TYPE  Karna Aur Enter Daba De.
  • OSK  Type Karke Jaise  Hi Aap Enter Karte Hai Wase Hi Apke Samne On Screen Keyboard Open Ho Jata Hai.
  • Keyboard Open Hote Hi Aap Apna Important Work Kar Sakte Hai. Mouse Se Ek Ek Par Click KarKe. 
Apne Important kam ko samay par Bina keybarod type kar ke kar sakte hai. On Screen Keyboard dikhne me Same Keyboard Jaisa hi Lagta hai
Bahut Se Logo Ko Ye Pata Nahi Hota Hai Ki On Screen Keyboard Kya Hota Hai Aur Iska Use Kaise Kiya Jata  Hai. To Aap Log Meri Is Post ko Pad Kar Aap Bhi Apne Aap Ko Smart Sabit Kar Sakte Hai. Jab Koi Aapse Puche To Aap Unke Samne Apna Ek Plus Point Increase Kar Sakte Ho. aur Gyan to Share se hi badhta hai.
Kyuki Bahut Ki Kam Logo Ko Ye Pata Hota Hai Ki On Screen Keyboard Kya Hota Hai. Aur Iska Use Kaise Kiya Jata Hai.
To dosto Ye article apne dosto tak jarur share kijiye aur Dosto Ki Help Kijiye

1 comment:

Bottom Ad [Post Page]

ads
| Designed by Colorlib